Friday, November 29, 2013

Humsafar

Mumkeen hai safar ko asaan banana
tum saath raho to mumkeen hai zindagi ko firse sajana

girke bhi honsla rahega tum sambhal logi
dard main dawa, aankon main khwaab, rukhsar main pyaar dogi

bas kuch khaas lamhon ki daastan hai zindagaani
kya banogi mera shaya, mere kalam ki kahaani

jeet si lagti hai har hansi tumhari mujhko
ek bar kehke to dekho, chunauti dedunga us jalte suraj ko

lab aur lafz kafi nahin ki koi dhun ban jaye
kya banogi mere alfaaz ki dhun hi meri awaaz ban jaye

Truly
Abinash