Showing posts with label hindi poem. Show all posts
Showing posts with label hindi poem. Show all posts

Wednesday, April 25, 2012

Anjaan



Tanha mushafir ki tarah chalna gavaraa nahin
khaamosi main jo gunjtaa hai wo dil hai mera, koi aawara nahin
kabhi to pehchaan le in nazron ko e-zaaaleem
main bheed main shameel ek chehra anjaanaa nahin.

Truly
Abinash

Saturday, October 16, 2010

Dekhi ye duniya

Bewafayee dekhi, rushwayee dekhi
dekhi ye duniya iski tamashahi dekhi

manzar dekhe, najare dekhe
dekhi hai zindagi, iski farmayish dekhi

lazawab wo hushn dekha, bemishal uske paentare
mohabbat main shikasht dekha, gamseen wo sarphire

sazi hui dewarein dekhi, aur dekhe hare bhare khet
naqab posh wo insaan dekhe, zindagi ko jakadein jaise mutthi main ret

mehfeelein dekhin, matam dekhi
dekhi ye duniya, iski sachhai dekhi.

Truly
Abinash

Sunday, September 05, 2010

Ek Sabera roshan fir ayaa

Ek sabera roshan fir ayaa
suraj samundar main dubki leke bahar nikal aya
wo phool patte aur chanchal tittliyaan
wo baagon main khelti hui gilhariyaan

Ek sabera roshan fir ayaa
jharno ki behti dhun saath layaa
wo udte parinde nikalpade asmaan ki aur
wo dharti sajj uthi jaise jashn ka sor

Ek sabera roshan fir ayaa
sunehre kirno ke saath roshni layaa
wo school jate mashoom bachhe
wo khwahishon se bhari din ki suruwat, thode bure thode achhe.

Ek sabera roshan fir ayaa
zindako ko ek naya din dikhlaya.

Truly
Abinash

N.B. Script is in English as any readers can understand yet can not read Hindi.

Saturday, February 20, 2010

Akela

Dard ko aansu na mili
Manzeel ko raah na mila,
Disha heen parinde ki tarah
bhatakta raha zindagi ka kafeela

Jishm ko rooh na mili
Honthon ko lafz na mila
Behisaab bas badhta gaya
manzeel se mushafir ka faslaa

Aankhon ko khwaab na mile
Khwaabon ko pankh na mila
bas chal pada saath liye
dard, dawa, bechaeni, sukoon akela.

P.S. English script is chosen cause many can understand yet can not read Hindi.

Truly
Abinash

Thursday, February 18, 2010

main....

ek sunehra khwab hoon main
kisi khoobsurat baag ka
mehekta gulaab hoon main

kisike dard ki dawa, kisika sabaab,
to kisika saraab hoon main
har lamha har pal behisab hoon main

ek diya, jo khud jal roshan kare har aangan
kisika cheerag hoon main
kisi samma ki aag, kisika noore betaab hoon main

Kisi bechaen dil ka sukoon, kisi tanha ka
saath, kisi ka armaan hoon main.

Waise to bahut naam hain..
kisiki dua, kisiki awaz, kisika wojood hoon main.

Ek hasin lomhon ki daastan, kisiki zindagi hoon main.
ishq, mohabbat, mehfeel, bas nayab hoon main.


P.S. Its in English script as many readers might not be able to read hindi yet understand it.

Wednesday, August 27, 2008

Matlab ka sansaar

Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar....
Sabkuch hai bekaar, yahan pe sab kuch hai bekaar.

Haani laabh ki tulna hoti, dukh ka hai byapaar..
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar.

log bure, buri hai ye duniya, bura iska adhaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar

Lahu se hori khel hai hota, hota hai deh byapaar..
Bol ka na koi mol yahan par, bas milte hain tiraskaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar

Prem bhav jo machal uthe kahin, cheere use nafrat ka dhaar
Bhabnaon ki na koi kadra yahan pe, na hai wosulon ka koi bhaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar