Insano ki ya Insaniyat ki talaash main
aaj nikal pada hun wapas ek savere ki talash main
Khamosiyon main cheekhein gunjti hai ab
Insaniyat ko kahan dhundun, zinda main ya laash main
kisse puchun, kaun bataaye
kaise laun andhere se prakaash main?
Shab ki laalima odhe uss raat main jo khogaye
kahaan dhundu wo chehre, kamjori ya kamjoron main?
Sayad insano ki talaash main
aaj nikal pada hun wapas ek savere ki talaash main.
Sayad insano ki talaash main
aaj nikal pada hun wapas ek savere ki talaash main.
Truly
Abinash
Abinash
No comments:
Post a Comment