Zindagi ki bheed main aise na khojao
ki parchayi to hai par tum na nazar aao
kuch yaadein lekar tum chale jaoge
kuch yaadein yuhin piche chor jaoge
beeta kal na palat ke wapas ayega
na ye aaj kabhi khud ko dohrayega
zindagi ke kore panno pe shyahee kyun chidakna
wo safed panna bhi ek din yaadon main gujar jayega
yaadon ki kashti main sawar palon ko samet te chalo
kyun ki pattjhad ke baad vasant fir ayega
cheezon ko jakad ke kyun bhaari karte ho bojh
inko peeche chor ke dekho zindagi ka matlab samajh main ayega
Intezaar hai kiska, hai udashi kis baatki
kuch pal beet gaye hain, aur kuch bas lamhein hai baaki
tum bhi gujar jaoge, ye pal bhi beet jayega
aaj tum jahan khadeho, wahan koi aur khel dikhane ayega
is manzar ko samjho, yehi hai saaransh iska
ek pal main tum ho, ek pal main ye khel khatam ho jayega!
- Truly
Abinash
No comments:
Post a Comment