Thursday, February 12, 2015

Safalta

galti sabse hoti hai
blunder sabhi karte hain
par aage wohi jaate hain
jo seekh lekar chalte hain

darr bhi sabko lagta hai
dukh bhi sabhiko hota hai
par jeet unhiki hoti hai
jo darrse bi nahin darte hain

Sapne sabke rehte hai
khudko inse parakhte hai
par saakaar uske sapne hote hain
jo aaveg se badhte jaate hain

aalash main harkoi rehta hai
bas baatein badi badi karta hai
par safal wohi ho pata hai
jo siddatt se mehnat karta hai

waise to sabhi jeete hain
haar ki darse, jokheem nahin uthate hain
Jo jeevan nauka kinare par hi rehta hai
Aisa jeena bhi koi jeena hai?

Truly
Abinash

Monday, February 02, 2015

Mera anuvav

Mera anuvav kuch aisa hai
pal pal main  badalta
par jeevan ka abhinna hissa hai

khyan khyan main jeeta marta
pag pag main girta sambhalta
jeevan ke vyay main jeevan ko rachta

Yakeen nahi tha sapno main
na apni aankhon se sachai parkhi maine
ye meri anuvuthiyan banai kisne?

wohi bhram tha aur vaastavta bhi wohi
Bas apekhyaon ki abhipurti main leen tha
mujhe iske pare lechalta kya aisa hosakta tha koi

sambhav hai main satya se parichit kabhi na ho paun
par apni aankhon se jo jeevan ko dekhne ki kosish karithi
kya wo prayaas mera tha?

Truly
Abinash