Mera anuvav kuch aisa hai
pal pal main badalta
par jeevan ka abhinna hissa hai
khyan khyan main jeeta marta
pag pag main girta sambhalta
jeevan ke vyay main jeevan ko rachta
Yakeen nahi tha sapno main
na apni aankhon se sachai parkhi maine
ye meri anuvuthiyan banai kisne?
wohi bhram tha aur vaastavta bhi wohi
Bas apekhyaon ki abhipurti main leen tha
mujhe iske pare lechalta kya aisa hosakta tha koi
sambhav hai main satya se parichit kabhi na ho paun
par apni aankhon se jo jeevan ko dekhne ki kosish karithi
kya wo prayaas mera tha?
Truly
Abinash

No comments:
Post a Comment