Har zidagi ki yehi kahani hai
adha bachpan aur adhuri jawani hai..
Kya rakhha hai yaadon ko batorne main
Tum gujaardo zindagi aadhi ruthne main
aur main aadha manane main..
Har roz subah hoti hai, shaam aati hai
Bas har khyan ek vedna ban ke reh jati hai
Hum to is rang bhumi main kuch pal, khyan ke avtaar hain
Socho un nadiyo, pahaadon ka jo shadiyon se nirankaar hai
Kya har cheez main hona hai sidhh, galti mera adhikaar nahin?
Apurn sahi, bas hona tumhe sweekaar nahin?
Jo achha tha wo beet gaya hai
Jo achha hai wo beet raha hai
Vartamaan ko dekho yehi bhavishya ko seech raha hai
Sab rakha hai bas ehsaason ko sametne main
Tum gujaardo zindagi aadhi hasne main
aur main aadha hansane main..
Truly
Abinash
No comments:
Post a Comment