Wednesday, August 27, 2008

Matlab ka sansaar

Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar....
Sabkuch hai bekaar, yahan pe sab kuch hai bekaar.

Haani laabh ki tulna hoti, dukh ka hai byapaar..
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar.

log bure, buri hai ye duniya, bura iska adhaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar

Lahu se hori khel hai hota, hota hai deh byapaar..
Bol ka na koi mol yahan par, bas milte hain tiraskaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar

Prem bhav jo machal uthe kahin, cheere use nafrat ka dhaar
Bhabnaon ki na koi kadra yahan pe, na hai wosulon ka koi bhaar
Matlab ka sansaar ye hai matlab ka sansaar

5 comments:

Meghna said...

so very true.....ekdam sacchh!

Mudit said...

Sansaar vo hi roop leta hai, jaisa ho apna aakar
Jaise ko taisa milta hai, rakho achche vichar
Sab achche ho nahi sakte,yaha hai log har prakar
Matlab ka sansaar..par badlo iska aadhar

Anonymous said...

I agree with Mudit....You are very young to get into this kind of despondency. The world is what you make of it. You will see red if you wear red glasses.....and blue if you wear blue glasses.

Duniya nahin badalti, hamein use dekhne ka nazariya badalna hai aur apna karma karna hai....yeh karma bhoomi hain mere dost....dev bhoomi.

Keep smiling young man.....you have many miles to go before you sleep.

HellDev said...

sab kehte hain accha kya bura kya, kehte sudharo vichaar,

jo aaj achha kal bura, kal bura aaj accha,
isi jaddohjehad main ban jae dahi aachaar,


ha ha ha :-D

on a lighter note......

WritingsForLife said...

ahh... very true... well written :-)