Thursday, February 18, 2010

main....

ek sunehra khwab hoon main
kisi khoobsurat baag ka
mehekta gulaab hoon main

kisike dard ki dawa, kisika sabaab,
to kisika saraab hoon main
har lamha har pal behisab hoon main

ek diya, jo khud jal roshan kare har aangan
kisika cheerag hoon main
kisi samma ki aag, kisika noore betaab hoon main

Kisi bechaen dil ka sukoon, kisi tanha ka
saath, kisi ka armaan hoon main.

Waise to bahut naam hain..
kisiki dua, kisiki awaz, kisika wojood hoon main.

Ek hasin lomhon ki daastan, kisiki zindagi hoon main.
ishq, mohabbat, mehfeel, bas nayab hoon main.


P.S. Its in English script as many readers might not be able to read hindi yet understand it.

3 comments:

jem said...

Khud ki itni taarif?Tum bhi apne favourite ho kya:P

Anonymous said...

Good writing.

Unknown said...

very well written. hindi ke shabd acchhe se istamaal kiye hain.... nice one