kuchh cheezein samet kar laya hoon
aise hi bin dhoondhe jinhe main paya hoon
kuch aisee cheezein jo bekaar si hain
kuch aisee cheezein jo darkaar si hain
kuch cheezein jalne-jalanewalee
kuch cheezein palne mananewalee
kuch cheezein jo bas rukee rukee har pal dilko satanewalee
kuch cheezein man ko lubhanewalee
kuch cheezein raaz chhupanewalee
kuch cheezein jinse shuru hueen
koi kahani manpasand sunanewalee
kuch cheezein jinse khud darr jaun
kuch cheezein jinse auron ko daraun
kuch cheezein jinko dekh dekh apna aur jagka darr bhagaun
kuch cheezein jo hain chhoti chhoti
kuch cheezein jo hain moti moti
kuch cheezein jo hain anant nashwar
na hain woh koi kharee khoti
kuchh cheezein samet kar laya hoon
aise hi bin dhoondhe jinhe main paya hoon
kuch aisee cheezein jo bekaar si hain
kuch aisee cheezein jo darkaar si hain.
By:- Surya Mishra*; I loved it so posted it.
* My brother, friend, guide, mentor and some one I love.
No comments:
Post a Comment