Thursday, October 26, 2006

Lakshya Ki Talaash mein......

Ujjwal aasmaan mein,
Ek tim tima ta taara tha,
Use dekh har roz mera dil soche,
Kya ye meri taraf koi ishara thaa,
Yun to taare bahat hai aasman mein,
Par wohi taare pe kyun lage hai man,
Jis din dhake aasma badal se,
Udaasi saa lage ye jiban.

Par yun to ishwar ne banaye hain taare asma ke liye,
Is dharti pe rehke mein unko kya paao ,
Nih sabda swapna se mein kya laon.

Yun to ishwar ne he isara diya,
Taaron ke liye tumhe chunaa hai aasman,
Jaana hai gagan k us paar aur banana hai pehchaan.
Tabhi mein samjha kya woh ishara thaa ,
Jo mere liye ek tim tima ta tara tha.
Ab manjil ki he samajh mujhko, jana hai bahat duur,
Us aasman ko chuonga mein , gagan k par bhi jaaunga mein.
Ab raste ki hai pehchaan mujh ko, jo bhram mein gaya tha bhool.

Ab apni khud ki samajh hai mujh ko, jise samjha tha meine dhool.
Pakad hai majboot abhi, lakshya nishaane par,
Bas dekhna hai dum hai mujhmein kitna wahan pahanch pane par.
Ishwar ki is prakruti ne sikhaya bahat kuch hai,
Ab dekhna hai meine sikha kya hai?

Jis lakshya ke liye hai janm mera, ushe safal prabal kar jaana hai mujhe,
Bahak gaya tha taare ko dekh kar, ki har subah ek ujjal suraj bhi hai.

No comments: